Translated a ghazal I wrote last year for #napowrimo2018 for Day 20 of this year’s writing challenge:
Tum bas ek ajnabi the, par meine tumhe aane diya
Bina kuch kahe, bina khatkhataye, tumhe aane diya
Ek moti khojte khojte, tum samudra mein dub chale
Tairana nahin aata, lekin aage aate hi gaye
Savaal ek bhi nahin, sirf javaab hi javaab
Nayen pyaar ka safar, nayen ilakon ka khyaal,
Ek pal ki shanti is shor bhari duniya mein
Is pyaar ka shakti, is nafrat bhari duniya mein
Jab hum milenge, shaayad tum mujhe le chalo
Tumhare dil ki sabse gehre kone mein, bas mujhe rehne do
Thoda theherte hain us kone mein jahan hum pehle mile the
Bas let jao mere paas, upar baarish baresti jaye.
Mere haath tham lo,
chalo, yeh kahani shuroo karein
No comments:
Post a Comment